Sunday 25 March 2012

Main To Aarti Utaaru Re


 


Chorus:
Main to aarti utaaru re santoshi maata ki - 2
Jai jai santoshi maata jai jai maa - 2


Bari mamata hai bara pyaar maa ki aankhon mein
(Maa ki aankhon mein)
Bari karuna maya dulaar maa ki aankhon mein
(Maa ki aankhon mein)
Kyu na dekho main baarambaar maa ki aankhon mein
Dikhe har ghari, dikhe har ghari naya chamatkaar maa ki aankhon mein
(Maa ki aankhon mein)
Nritya karu jhoom-jhoom, jham jhamaajham jhoom-jhoom
Nritya karu jhoom-jhoom, jham jhamaajham jhoom-jhoom
Jhaanki nihaaru re, o baaki baaki jhaaki nihaarun re
Main to aarti utaaru re...

Sada hoti hai jai jai kaar maa ke mandir mein
(Maa ke mandir mein)
Nit jhanjhar ki hoi jhankaar maa ke mandir mein
(Maa ke mandir mein)
Sada manjire karte pukaar maa ke mandir mein
Vardaan ke, vardaan ke bhare hai bhandaar maa ke mandir mein
(Maa ke mandir mein)
Deep dharoo dhoop dharoo, prem sahit bhakti karoo
Jeevan sudhaaru re, o pyaara pyaara jeevan sudhaaru re
Main to aarti utaaru re...


Translation not available.

No comments:

Post a Comment